मेरी कलम से----------------------मेघना
"दिल न माने "
लफ्जों में बयान नहीं होते हैं
ये तो दिल के रिश्ते है बहुत पुराने
बात तो होती है बस ज़रा सी
बन जाते हैं मगर उसके भी अफ़साने
छोटी बात से भी टूट जाते है दिल के रिश्ते
जिन्हें जुड़ने में लग जाते हैं ज़माने
दिल में बसा कर रखते हैं
तस्वीर हम अपनों की
गर्दन झुका कर देख लेते हैं ज़रा
जब भी ये दिल न माने ...........
---------------------------------------------------
meri kalam se-----------------------meghna
"dil na maane"
lafzon mein bayaan nahi hote hain
ye to dil ke rishte hain bahut puraane
baat to hoti hai bas zara si
magar ban jaate hain uske bhi afsaane
choti si baat se bhi toot jaate hain dil ke rishte
jinhe judne mein lag jaate hain zamaane
dil mein basa kar rakhte hai
tasveer ham apno ki.............
gardan jhuka kar dekh lete hain zara
jab bhi ye dil na maane----------------
------------------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment