Wednesday, August 26, 2009

"मना लो तुम"

मेरी कलम से----------------------------------मेघना

प्यार की कुछ अनकही बातें
अपने दिल को सुना लो तुम
तरसती हैं आँखें नज़रों की इनायत के लिए
अब तो झुकी पलकें उठा लो तुम
रूठे हैं
हम तुमसे ,पर यकीन है तुम पर
अब तो हमें मना लो तुम
रोती हैं आँखें रात भर तन्हाइयों में
अब तो ख़्वाबों में बुला लो तुम
डूब रहे है प्यार की गहराइयों में हम
अब तो हमें बचा लो तुम..........................
----------------------------------------------------------------------------

meri kalam se-------------------------------meghna

pyaar ki kuchh ankahi baatein
apne dil ko suna lo tum
tarsati hain aankhein nazron ki inaayat ke liye
ab to jhuki palkein utha lo tum
roothe hain ham tumse,par yaqueen hai tum par
ab to hamein mana lo tum
roti hain aankhein raat bhar tanhaaiyon mein
ab to khwaabon mein bula lo tum
doob rahe hain pyaar ki gehraaiyon mein ham
ab to hamein bacha lo tum...............................

Thursday, August 20, 2009

मेरी कलम से -------------------------------------------मेघना

एक शाम और गुज़री है आज तुम बिन
गुज़ारा है हर लम्हा हमने बस तारे गिन-गिन
पलकों में भी बंद हैं कुछ ख्वाब अधूरे
दिल चाहे मेरे ये सपने बस हो जाएँ पूरे
रात अभी तो और भी ढलने को है
पलकों में ख्वाब अभी और पलने को है
यूँ ही हमें अब नींद के आगोश में रहने दो
बीते लम्हों की यादें संजो लेने दो
थोड़ा सा अभी और हमें सो लेने दो
इन ख़्वाबों से निकल कर कहाँ जाएँ हम तुम बिन
न देखे तुम्हें ख़्वाबों में तो कैसे जी पायें तुम बिन ??????
--------------------------------------------------------------------------------
meri kalam se-----------------------------------meghna

ek shaam aur guzari hai aaj tum bin
guzaara hai har lamha hamne bas taare gin-gin
palkon mein bhi band hain kuchh khwaab adhoore
dil chaahe mere ye sapne ho jaayen bas poore
raat abhi to aur bhi dhalne ko hai
palkon mein khwaab abhi aur palne ko hai
youn hi hamein abhi neend ke aagosh mein rehne do
beete lamhon ki yaaden sanjo lene do
thoda sa abhi aur hamein so lene do
in khwaabon se nikal kar kahan jaayen ham tum bin
na dekhein tumhe khwaabin mein to kaise jee paaye tum bin

--------------------------------------------------------------------------------

Sunday, August 9, 2009

फूल

मेरी कलम से-----------------------------------------मेघना

"फूल"

गुलशन में बहार थी
हर कली गुलज़ार थी
तभी हमें इक फूल नज़र आया
जो थोड़ा मुरझाया हुआ था
ज़माने का सताया हुआ था
हमने फूल से पूछा
क्यों इतने इतना ग़मगीन हो ?
क्यों इतने हताश हो ?
क्यों दुनिया से निराश हो ?
फूल ने कहा-----------------
जब मैं भी जवान था
हर इक को मुझ पर गुमान था
मैं हर इक का मेहमान था
अब जब मैं मुरझा गया हूँ
तब मैं ठुकराया गया हूँ
पल भर में पराया हो गया हूँ
अपना गम ख़ुद ही लिए जा रहा हूँ
ये दुनिया बहुत ही अजीब है
अपने मतलब के लिए कोई किसी के करीब है
जब किसी को कोई काम होता है
तभी वो तुम्हारा मेज़बान होता है
इसलिए किसी से कोई उम्मीद न रखो
किसी भी बात की ताकीद न रखो
तभी तुम इस दुनिया को जीत पाओगे
और सुकून से अपना जीवन बिताओगे
------------------------------------------------------------------------------------------------
meri kalam se ..............................................................................meghna
" phool"

gulshan mein bahaar thi
har kali gulzaar thi
tabhi hamein ik phool nazar aaya
jo thoda sa murjhaaya hua tha
zamaane saataaya hua tha
hamne phool se poochha.............................
kyon itnaa gamgeen ho ?
kyon itne hataash ho ?
kyon duniyan se niraash ho ?
phool ne kaha .................
jab main bhi jawaan tha
har ik ko mujh par gumaan tha
main har ik ka mehmaan tha
lekin jab main murjha gaya hoon
tab main thukraaya gaya hoon
duniyaan se sataaya gaya hoon
apno ka paraata ho gaya hoon
apna gam khud hi liye jaa rahaa hoon
ye duniyan bahut hi ajeeb hai
apne matlab ke liye hi koi kisi ke kareeb hai
jab kisi ko koi kaam hota hai
tabhi wo tumhaara mezbaan hota hai
isliye kisi se koi umeed naa rakho
kisi bhi baat ki taaqeed na rakho
tabhi tum is duniyan ko jeet paaoge
aur sukoon se apna jeevan bitaaoge

......................................................................................................