Thursday, August 20, 2009

मेरी कलम से -------------------------------------------मेघना

एक शाम और गुज़री है आज तुम बिन
गुज़ारा है हर लम्हा हमने बस तारे गिन-गिन
पलकों में भी बंद हैं कुछ ख्वाब अधूरे
दिल चाहे मेरे ये सपने बस हो जाएँ पूरे
रात अभी तो और भी ढलने को है
पलकों में ख्वाब अभी और पलने को है
यूँ ही हमें अब नींद के आगोश में रहने दो
बीते लम्हों की यादें संजो लेने दो
थोड़ा सा अभी और हमें सो लेने दो
इन ख़्वाबों से निकल कर कहाँ जाएँ हम तुम बिन
न देखे तुम्हें ख़्वाबों में तो कैसे जी पायें तुम बिन ??????
--------------------------------------------------------------------------------
meri kalam se-----------------------------------meghna

ek shaam aur guzari hai aaj tum bin
guzaara hai har lamha hamne bas taare gin-gin
palkon mein bhi band hain kuchh khwaab adhoore
dil chaahe mere ye sapne ho jaayen bas poore
raat abhi to aur bhi dhalne ko hai
palkon mein khwaab abhi aur palne ko hai
youn hi hamein abhi neend ke aagosh mein rehne do
beete lamhon ki yaaden sanjo lene do
thoda sa abhi aur hamein so lene do
in khwaabon se nikal kar kahan jaayen ham tum bin
na dekhein tumhe khwaabin mein to kaise jee paaye tum bin

--------------------------------------------------------------------------------

No comments: