Sunday, July 19, 2009

मेरी कलम से -----------------------------मेघना



रेत की तरह ज़िन्दगी

हाथों से निकलती ही चली गई

एक बार जो डोर हाथ से फिसली

तो फिसलती ही चली गई

तूफानी रातों में सागर से लहरें

साहिल पर मचलती ही चली गई

समेटने लगी मैं जब पुरानी यादों को

यादें मगर बिखरती ही चली गई

जीना चाहा कुछ खुशियों के सहारे मैंने

मगर ग़मों की तपिश में पिघलती ही चली गई

लाख कोशिश की पास आने की मगर

दूरियां उनसे बस बढती ही चली गई

सोचा था ज़िन्दगी का हाथ थाम लेंगे मगर

साँसे बस उखड़ती ही चली गई

-------------------------------------------------------------------------------------

meri kalam se-----------------------------------------meghna

ret ki tarah zindagi

haathon se nikalti hi chali gayi

ek baar jo dor haathon se fisali

to bas fisalti hi chali gayi

toofaani raaton mein sagar se leherein

saahil par machalti hi chali gayi

sametne lagi main jab puraani yaadon ko

yaadein magar bikharti hi chali gayi

jeena chahaa kuchh khushiyon ke sahare maine

magar gamon ki tapish mein pighalti hi chali gayi

laakh koshish kee paas aane ki magar

dooriyan unse bas badhti hi chali gayi

socha tha zindagi ka haath thaam lenge magar

saansein bas ukharti hi chali gayi.......................................


No comments: