मेरी कलम से ------------------------------मेघना
उनका गम लेकर हम तो
भरी महफिल में भी मुस्कुराते हैं
और एक वो हैं कि
तन्हाई में भी ग़मों से घबराते हैं
हम इस दिल को
मुहब्बत का तोहफा समझ संजोया करते हैं
और वो हैं कि
दिल के ज़ख्म को लेकर रोया करते हैं
एक वो हैं कि भरी दुनिया में
ख़ुद को अकेला पा रहे हैं
एक हम हैं कि
कब से तनहा ही चले जा रहे हैं ........................
----------------------------------------------------------------------------
meri kalam se-------------------------------meghna
unka gam lekar ham to
bhari mehfil mein bhi muskuraate hain
aur ek wo hain ki
tanhaai mein bhi gamon se ghabraate hain
ham is dil ko
muhabbat ka tohfa samajh sanjoya karte hain
aur ek wo hain ki
dil ke ek zakhm ko lekar roya karte hain
ek wo hain ki
bhari duniyan mein khud ko akela paa rahe hain
ek ham hain ki
kab se tanha hi chale jaa rahe hain ......................
Friday, July 17, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment