मेरी कलम से -------------------------------मेघना
रिश्तों में थी फासलों की दीवारें
नजदीकियां ही कुछ कम थी--------
रोया था उनकी जुदाई में ये दिल
इसलिए आँखें कुछ नम थी
दिल बिखर कर हो गया चूर-चूर
मेहरबानी दोस्तों की कुछ कम थी----------
खुदा जाने फ़िर ये साथ मिले या न मिले
ख्यालों में तो तुम्हारे साथ में हर दम थी----------
---------------------------------------------------------------------
meri kalam se -------------------------------meghna
rishton mein thi faaslon ki deewarein
nazdeekiyan hi kuchh kam thi
roya tha unki judaai mein ye dil
isliye aankhein kuchh nam thi
dil bikhar kar ho gaya choor-choor
meharbaani doston ki kuchh kam thi
khuda jaane fir ye saath mile ya na mile
khyaalon mein to tumhaare saath main har dam thi...........
Thursday, March 5, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment